Se Apne Khoya Mobile Traice Kare
Kya aapka phone kho gaya hai ya chori hogaya ya aapke kisi friend ya relative ka Android mobile kho gya hai. Aur bahut search kiya phir bhi nahi mila hai, to ye article apake liye hai. Aap apane khoye hue phone ko Android device manager se trace kar sakte hai. vaise to aaj sabhi log tarah tarah ke security app ka use karte hai. lekin yadi aapne kisi bhi app ka use nahi kiya hai to bhi ye trik aapko aapke khoye hue mobile ko search karne me help karegi .
To chaliye jante hai ki ham apne khoye hue mobile ko kaise trace kar sakte hai.
- Files Transfer Between Your Smartphone To PC Using WiFi Without Internet
- Whatsapp Beta Version Use Karke Whatsapp Ka Koi Bhi Feature Sabase Pahale Use Kare
How To Trace Lost Android Phones Using Android Device Manager ?
Android phones me Google play store pahle se hi installed hota hai. Ye ham sabhi jante hai lekin kya aap ko pata hai ki isi play store se ham apne mobile ko trace kar sakte hai. Jab ham kisi mobile pe google play store ko pahli bar use karte hai . Tab hame email aur kuch basic information fill karni padti hai. Isi information ka use Google Android device manager me karta hai. Android device manager Google ka android phone me pre-installed security feature hai. Mujhe lagta hai ki aapne ise active kiya hoga.
Aur aapne active nahi kiya hai, firbhi aapko ek bar ise check kar lena chahiye. Agar aapne koi security app ka use nahi kiya hai to bhi aap is apne smartphone phone ko trace kar sakte hai . Viase dekhe to bahut hi kam log kisi tracking app ka use karte hai.
How to Activate Android Device Manager?
Apne smartphone me Android Device Manager ko active karne ke liye aap apne mobile ki settings me jaye. Yaha par ab aapko security option me jana hai. Yaha aapko Android device manager option mil jayega aap is par click kar ke ise active kar sakte hai.
Settings →Security → Device Administrators →Android device manager
- Top 5 SEO Tips For Higher Ranking Your Blog
- Self Destructive (Automatic Delete) Secret Message Emails Kaise Send Kare
Ek bar yadi aapne Android Device manager ko apne smartphone par activated kar diya. to aap in steps ko follow karke apne mobile ko trace kar sakte hai.
Apne browser ko open kare aur Google Play store par jaye . Yaha par aapko corner me ek Gear Icon show hoga use par click kar. Yaha par aapke samne ek drop down list ayegi usme Android Device manager par click kare. Android device manager click karne ke bad aapko apne use Google account me sign in Karna hai. Jo aap apne smartphone me use karte the.
Ek bar Android Device Manager ne aapke phone ko search kar lega , to aapko yaha par apne mobile ki location Google Maps ke jariye show hogi . Yaha par aap apne smartphone ko ye bhi pata kar sakte hai ki vah aapse kitani door hai.
Isake sath hi yaha aapko three options show hoge.
1. Ring:
yadi aap is option par ok karte hai to aapka mobile full voice me ring karega. Apka mobile pure 5 minutes tak full vice me ring karega . Yah option tab bhi kaam karega jab aapka mobile silent mode me ho , ha agar aapka Mobile switched off hoga to kaam nahi karega.
2. Lock:
is option ka use karke aap apne mobile ko lock kar sakte hai.
3. Erase:
yadi aapke Mobile me kuch aisi jankari hai jiska koi misuse kar sakta hai to aap is option ka use karke apne mobile ka sara data hamesha ke liye delete kar sakte hai. lekin yaha ye dhyan rakhna ki yadi aapne is option ka use kiya to aapka sara data sadaiv ke liye delete ho jayega .
Lekin ha aap is option ka use karke apne smartphone ki sd card ko delete nahi kar sakte hai. So friends aap is trik se apna mobile search kar sakte hai. Agar koi problem aa rahi ho to comment box me likho. Mai jald hi aapko answer dunga.
Mera vivoY53 IMEI 1:866045036037412 ,IMEI2:866045036037404,SN:D606QHL06C00 mobile phone 30/10/2017 ko dhuliya se kho Gaya hai police complaint karke bhi koyi natija nahi please help me,please from Hemant jadhav
ydi aapne apni divice me Android divice manager active kiya tha to aap upar bataye gaye tarike se apne google account me login karke apne phone ka pata laga skte hai.