Chrome Browser Me Saved Password Ko Kaise Nikalate Hai?
Computer me Internet surfing ke liye log tarah tarah ke internet browser use karte hai. Lekin india me Log sabse jayda chrome browser ka hi use karte hai, Kyonki chrome brower ka interface bahut simple hai. Aur yah ek Google ka product hai. Mai bhi PC aur mobile dono me internet work ke liye Chrome ka hi use karta hu. shayad aap bhi chrome ka use karte honge. Kabhi kabhi ham jab koi naya account kisi bhi website par create karte hai. To ham password chrome me save kar dete hai. Isaliye ham aaj browser me Saved Password ke bare me bat karne ja rahe hai.
Jaisa ki aap sabhi jante hai. Ki Chrome browser ko Google ne banaya hai. Jiski wajah se isme privacy ki kami nahi hoti hai. Jab bhi aap apne kisi account me LogIn karte hai to Chrome ki aur se ek PopUp aata hai, password save karne ko kaha jata hai. To generally Log Itne Lazy hote hai ki kaun baar baar LogIn karta rahega ye soch kar wo password ko save kar dete hai.
Ab jabki ham keval ek hi brower se hi use website ko access karte hai. Isliye kabhi hame dubara Saved password fill karne ki jarurat nahi hoti hai. jiske karn ham dhire dhire apna Saved password bhul jate hai. Aur bad me kahi par use karna hota hai.To hame kuchh dikkat ka samna karna padata hai. Agar aap ke sath bhi yahi hua hai. To ham aaj aapko batane wale hai ki aap apne browser me Saved password kaise nikal sakte hai.
- MOST IMPORTANT COMPUTER SECURITY TIPS IN HINDI
- Android Device Manager Se Apne Khoya Mobile Traice Kare
Chrome Browser Password Save karna Chahiye Ya Nahi?
dosto apna password kahi par save karke nahi rakhna chahiye . Aur na hi kahi par likhkar rakhana chiye. isliye agar mai apni bat karu to mai nahi chahata ki mai apna password save karu . kyonki password kahi save hone se kai bar dikkato ka samna karna pad jata hai.kisi hacker ne aapke browser ko hack karliya to aap samajh sakte hai ki aap ko kya paresani ho sakti hai. isitarah Agar kisi galat user ke hath aapki is tarah ki information lag gai to aap problem me phas sakte hai. aapke jankari ka koi galat fayada uda sakta hai. Isliya aapko kabhi bhi apne password ko kahi par save kar ke rakhana nahi chahiye khas taur par browser me to bilkul nahi. Aur Saved password hone ke karne hame dubara login nahi karna padtra hai. isliye ham aapne Saved password bhi bhul jate hai.
Chrome Browser Me Saved Password Ko Kaise Nikalate Hai?
Agar aapke browser me password save hai. To aap in Saved password ko bahut hi aasani se dekh aur manage kar sakte hai. to chaliye ham aapko batate hai ki aap kaise apne pasword ko recover kar sakte hai. Aap step to step follow kar ke apne Saved password ko dekh sakte hai.
- WhatsApp New Feature Passcode Bhule To Delete Ho Jayega Sara Data
- Data Transfer (MBs) From One Sim To Another In Hindi
Step 1. Agar aap chrome account ko sync karte hai. To Sabse pahle apne account me LogIn Kare.
Step 2. LogIn Karne ke baad Chrome Settings ko apen kijiye.
Step 3. Ab aap show advance setting par click kare.
Step 4. Setting me jane ke baad Password And Forms section me jaiye aur Manage Passwords me click kariye.Agar aapko ye option manually nahi milata hai to aap saerch bar me saerch kar sakte hai.
Step 5. Jaise hi aap Manage Password me click karege ek to ek Window khulegi aur usme apke sabhi accounts aur ID’s ka user name aur password saved hoga.
Step 6. Ab aapko Jis account ka Saved password dekhna hai uspar click kare. click karne ke baad Password Form me Show Button hoga usme click kare tab aapka password show ho jayega. Agar aap apne chrome account se login nahi honge to aapko apne pc laptop ka password enter karna hoga. Aur aapka password show ho jayega.
To dosto aapne dekha ki apne Saved password ko nikalana kitana easy hai. agar aap ko hamara ye artical achha lage to apne friends ke sath share jarur kare sath hi agar aap hamare sath kuchh share karna chahte hai to hame comment kar sakte hai. ummid hai ki aapko hamara ye artical pasand aay hoga.
Superb Article
Welcome and Thanks jafar
djsultanhaflaganj 7294948764
Greetings! Very helpful advice within this post! It is the little changes that produce the most important changes. Many thanks for sharing!