Storage ke bare me to aap jante honge. Aur aapne cloud storage ke bare me bhi jarur suna hoga. Aaj mobile ho ya computer har jagah data store kiya jata hai. Internet ke badte prabhav ke karn ek aur data storage ka tarika bad gaya hai jiska naam hai cloud storage. Aaj ham esi topic par bat karne wale hai.
Cloud Storage Kya Hai:
Ham sabhi mobile,computer , pendrive aur sd card me data store karte hai. Yah sab storage ka digital madhyam hai. Vaise hi ham jab apna data online store karte hai. To ese cloud storage kaha jata hai. Cloud storage data store karne ka virtual technic hai. Isame aapka data aapke phone computer ya local drive me nahi store hota hai. Aapka data kisi company ke ke server par store hota hai. Jise aap in upkaran se access kar sakte hai. Is data ka sara management kisi hosting company ke pass hota hai. Jisme aap kisi application ke dvara apna data store kar sakte hai. Cloud storage me data store karne ke liye alag alag company dvara space free aur paid dono tarike se diya jata hai.
- BINA WHATSAPP OPEN KIYE WHATSAPP PAR MASSAGE SEND KARE
- KISI BHI SONG ME APNA NAME KAISE MIX (DJ MIX) KARE
Cloud Storage Ka Upyog Kaise Kare:
Jab aapka data kisi local drive me save hota hai . To aapko ise access karne ke liye kisi khas application ki jarurat nahi padti hai. lekin cloud storage ko aap kisi application ke dvara hi use kar sakte hai. Cloud storage ko use aap mobile aur computer dono se kar sakte hai. Aur sath aap kahi se bhi ise use kar sakte hai.
Jis tarah email ke liye aapko ek login aur password ki jarurat hoti hai. Usi prakar cloud storage ka use karne ke liye bhi aapko ek account aur login password ki jarurat hoti hai. Cloud storage ka use karne ke liye aapke pass mobile,pc,laptop, tablet ya any koi device honi chahiye. aur sath aapke pass internet seva bhi honi chahiye. Cloud storage me Google drive, one drop, Dropbox, I cloud, aur Amazon cloud drive sabse jyada use kiye jate hai.
Android smartphone me cloud storage ke liye Google drive pahale se hi aata hai. Vaise hi windows me one drive aur Apple device me I cloud pahale se hi aata hai. In sab ka aap use karne ke liye aapko ek mail id banana hota hai. Iske bad aap local drive me uplabdh data ko cloud storage me folder bana kar upload kar sakte hai.
Cloud Storage Ke Famous Company:
Google Drive:
Jaisa ki naam se hi maloom hota hai. Ki yah Google ki sarvis hai . Yah aapko apne Android mobile me pahle se hi uplabdh hoti hai. Jis par aap apne gmail account se use kar sakte hai. Yah ek free cloud storage hai . Jaha aap apne mobile ke photo video audio ya kisi anya file ko store kar sakte hai. Yaha par aap apne mobile ka pura backup bhi le sakte hai. Yaha tak ki aap apne gallery ki setting ka bhi backup le sakte hai.
- Android Device Manager Se Apne Khoya Mobile Traice Kare
- Top Secret Google Search Tips And Tricks In Hindi
Android device ke alava Google drive ka windows version bhi uplabdh hai. Jise aap ki si windows device par use kar sakte hai. Isake liye aapko apne windows device par Google drive software install karna hoga . Yaha aapko drag and drop option mil jayega. Isase aap mobile ke data ko laptop me aur laptop ke data ko mobile par use kar sakte hai.
One-Drive:
Google ki tarah one drive Microsoft ki cloud storage sarvis hai. Jisako aap windows device me pahale se uplabdh hota hai. Android me use karne ke liye ise aapko download karna hoga. Yaha aap 10 GB tak free data store kar sakte hai. Isase bhi aap apna data kahi se bhi use kar sakte hai.
Dropbox:
Dropbox ek third party application hai. Jo aapko Android aur windows dono par uplabdh hai. Yaha ek free service hai. Isaka use karne ke liye aapka Dropbox me ek account hona jaruri hai. Isaka use karne ke liye aapka Dropbox software install karna hoga.
Amazon Cloud Drive:
Dropbox ki tarah Amazon cloud drive bhi third party application hai. Aur isaka use karne ke liye aap alag se download karna hoga . Amazon cloud drive bhi Android aur windows ke liye Free uplabdh service hai. Is service ka use karne ke liye aapko Amazon par ek account banana hoga.
To dosto yah the kuch popular cloud storage provide karne vali company jinka use karke aap apne data ko online store kar sakte hai. Isase aaka data saf ho jayega. Agaar aapko hamara ye article achha lage to dosto ke sath share kare.
Cloud storage in Hindi
aapko upr puri jankari di gai hai
बहुत ही सुंदर लेख! आपका ब्लॉग पढ़कर खुशी हुई और मन को शांति मिली। आपने इस विषय पर बहुत अच्छे रूप से लिखा है और मुझे यकीन है कि यह अन्य लोगों के लिए भी बहुत कुछ साबित होगा।
Bank mobile number lagana hai Bank isanagar uttar Pradesh
Bank se sampark kijiye.