Top Secret Google Search Tips And Tricks In Hindi:
Ham sabhi jante hai ki Google Search sabse jyada use kiya jane wala search engine hai. Har din billions log Google search engine me apni queries search karte hai. Lekin Google ke bare me bahut si aisi tricks hai jinke bare me ham sabhi nahi jante hai. Isliye aaj ham is article me aapko Top 10 cool Google Search Tricks batane ja rahe hai .
1. Definitions:
Agar aap ko kisi bhi wird ki definitions chahiye to aap direct Google me search karke prapt kar sakte hai. Google aapko aapke word ki meaning show kar dega.
example ke liye: agar aapko computer ki definition chahiye to aapko Google me Type karna hai
–define computer aur press enter.
Aapko is word ki meaning search results me show hogi.
2. Google Translate:
Agar aapko kisi word ko kisi bhi language me Translate karna hai,to aap us word ko aur us language ko Google me type kare .
Example ke liye, agar aapko Political ki hindi me Translate karna ho to aap Google me type kare-
political translation in hindi aur enter press kare.
aapko search results me Translate kiya hua word mil jayega. Google Translate world me sabse jyada use kiya jane wala Translater tool hai. Google translator bahut achha tool hai.
3.Local Area Search:
Agar aapko kisi local cheez search karna ho to aap local.google.com me koi area select karke kuch search kar sakte hai.
Example ke liye: aapko kisi particular area me koi restaurants search karna hai. to aapko google me restaurants type karke search kare. Aapko search results me sabhi local restaurants ke address mil jayenge.
4. Find PDF results only:
Agar aapko kisi particular file ki pdf chahiye to aap google me filetype:pdf type karke search kare.
Example ke liye: agar aapko web design ke PDF file chahiye to aapko google me web design: pdf Type karke search kare. Aapko search results me aapko sabhi pdf files mil jayenge.
5.Find Weather And Movies:
Agar aapko kisi particular location ki weather information chahiye, aap google me type weather followed by zip code or city and state.
Example ke liye: agar aapko lucknow ki weather conditions janani hai to aapko google me type karna hai weather lucknow aapko lucknow ki current weather conditions show ho jayengi.
Similarly agar aapko kisi particular area me movies ke bare me pata karna hai. to aapko google me movies ke sath area code ya city ko likhkar search kare.
Example ke liye: mujhe lucknow me movie ke bare me janana hai to mai google me type karunga Movies in lucknow aur enter press karunga. ab mujhe lucknow me sabhi Movies ki information mil jayegi.
6.Track The Status Of Airline Flight
Agar aapko kaisi Flight ki status track karane ho to google me us airline ka naam aur Flight number type karke search karna hai. aapko ud Flight ki puri information mil jayegi.
Example ke liye: agar aapko Delta ki Flight number 2424 ki details chahiye to aap simply google me Delta 2424 type karke search kare. Aapko sari information show ho jayengi.
7. Google calculator:
Aap google search ko calculator jaise bhi use kar sakte hai. aur aap apne math ki problem solve kar sakte hai. aapko google me type karna hai calculator aur search kare . Ab aap google ke search results me calculator ka use kar sakte hai. aur apni kisi bhi math problem ko solve kar sakte hai.
8. Pages Linking To A Site:
Agar aapko apne blog ke kisi page ki linking ko dekhna chahte hai. To simply us link ko apni website ke url ke sath Type kare aur search kare.
Example ke liye : google me type kare link: https://yojanavani.in aur search kare aapko sabhi vo page show hoge jo yojanavani.in se link honge.
9. Google Timer:
Aap Google ko ek Timer jaise bhi use kar sakte hai. Aapko google me set Timer time ke sath Type karana hai jo time aap use karana chahte hai aur enter press kare. aapka Timer chalu ho jayega .
Example ke liye aapko 1 ghante ka timer se karna hai,to aapko google me type karna hai set timer 1 hours aapko 1 ghante ka Timer show hone lagega.
10. Stocks:
Aap simply stock ke quote price, chart, aur related links prapht kar sakte hai . Isliye aapko simply google me stock symbol type karke search karna hai.
Example ke liye Type stocks:msft aur search kare. Is search results me aapko Microsoft ke stock ke bare me sari information mil jayegi.
Maine yahan par sirf top 10 google search tricks aapke sath share ki hai. Agar aapko kisi google unknown tricks ke bare me pata hai. To aap hamare sath share kar sakte hai. Aur hame comment box me comment kare. Aur aap is post ko apne friends ke sath jaroor share kare.
आज हम आपको Google Chrome Download & Install in Windows के बारे मे जानकारी देंगे। अगर आप हमारी पोस्ट पढ़ रहे है तो आप इंटरनेट जरूर चलाते है। और अगर आप इंटरनेट चला रहे है। तो आप किसी न किसी माध्यम से ही ये पोस्ट पढ़ पा रहे है। अगर आप किसी अन्य ब्राउज़र का उपयोग कर रहे है। और आप चाहते है की google का chrome browser download करे और उसका उपयोग करे। तो आप सही जगह आए है। हम यहाँ आपको google के क्रोम ब्राउज़र को कैसे डाउनलोड करे ये जानकारी देंगे।
nice post bhai
thanks bro