IDEA MONEY APP SE BINA INTERNET AISE KARE PAYMENT :
Purane noto par pratibandh ke bad desh me cashless economy ko badava dene ke liye sarkar ke dvara bahut paryas kya ja rahe hai. Taki desh me Digital payment ko badava mil sake. note bandi ke bad jaha sarkar is jyada jor de rahi hai vahi aam admi ka jhukav bhi digital payment ki tarf hua hai.
- BINA WHATSAPP OPEN KIYE WHATSAPP PAR MASSAGE SEND KARE
- Fake Number Se Free Call Kare Kishi Ko Bhi In Hindi
Jaisa ki aap sabhi jante hai. Ki Idea Money aap se utility bills, prepaid recharge, DTH recharge aap payment kar sakte hai. Isake liye Idea users ko Google play store se idea money app download karna hota hai. Aur install karna hai. Isake bad aapse mangi ja rahi sari jankari fill kar dena hai. Aapko apne registered mobile number par ek pin aayega. Is Mpin ko aap apne hisab se change bhi kar sakte hai. Isake bad aapko apne idea Money app me debit card, credit card ya net banking se aap apne idea money app me paise transfer karke aap koi bhi payment kar sakte hai.
IDEA MONEY APP ME BINA INTERNET AISE KARE FUND TRANSFER:
Ab aap bina internet ke bhi fund transfer kar sakte hai. Isake liye aapko ussd codes ka use karana hoga . Aapko apne idea money se *400# dial karan hoga. isake bad yaha par aapko bahut option milenge. Jisame aapko bill payment options bhi milega. Agar aap bill payment karna chahate hai. to aapko bill payment ke aage likhe hue number ko niche bharna hai. aur send kar dena hai. Isake bad aap kisi bhi prakar ka bill jaise electricity, insurance, gas ka bill pay kar sakte hai. Sath hi aap pay marchent, receive money aur send money to bank option bhi milenge jinaka use aap kar sakte hai.
Idea Money ka use karke aap kai offer bhi receive kar sakte hai. Jaise aap cash back pa sakte hai. Aur is app se kisi bhi mobile ka bill bhi pay kar sakte hai.
- WhatsApp New Feature Passcode Bhule To Delete Ho Jayega Sara Data
- Photos को Text Files में Convert कैसे करे
IDEA MONEY APP ME AISE KARE PAISE TRANSFER:
Idea Money se aap paise bank account me bhi transfer kar sakte hai. Idea Money valet paise dalane ke liye aapko apne credit ya debit card puri information fill karni hogi aur jitana paise dalana hai . Use fill karke aap apne valet me paise dal sakte hai.
Paise transfer hone ke bad aap kisi bhi dusare idea money user ko bhi fund transfer kar sakte hai. Isake liye sirf aapko idea user ka number lena hoga . Aur kitana paise bhejna hai use bharna hai . Isake bad ek click karte hi aapka payment ho jayega . Isake liye aapko koi charge bhi nahi dena hoga. Aap apne idea money me uplabdh balance ko kabhi bhi apne bank account me transfer kar sakte hai.
To dosto is tarha se aap apne idea money se bina internet ke bhi payment kar sakte hai. Aapko hamara ye article kaisa laga hame batye. Sath ise apne friend ke sath share jarur kare .