Internet Browser Shortcuts In Hindi
web Browser kya hai?
web browser ek aisa application hota hai jo hame world wide web (www) se vo sabhi information search karke deta hai jo hame chahiye hoti hai. Browser internet par kuch bhi search karne ke liye use kiya jata hai. aajkal market me bahut sare internet browser available hai. Examples ke liye.
1.Google chrome
2.Internet Explorer
3.Mozilla Firefox …
Internet Browser Shortcuts
Internet Browser ko use karne ke liye bahut sare Internet Browser Shortcuts hai. Jinaka use karke ham apne browsing ke experience ko bada sakte hai. Sath hi hame apne work ko karne me aur easy ho jata hai . Aur hame bar bar mouse ki jaroorat nahi padti hai. Aaj ham aapko kuch most important Browsers ke shortcut keys ko is article me batane ja rahe hai . Jinka use aap apne internet browser me kar sakte hai. Niche ham aapko kuch top suggested Internet Browser shortcuts bata rahe hai .
1. Alt+D – is Short key ka use karke aap apne cursor ko direct Address Bar me le ja sakte hai. Yah sabse achha tarika hai apne Browser me jaldi se kisi dusre website ko open ka. iska use karke aap ko apne mouse ka use nahi karna padega.
2. Hold down control key and pressing + or – is Browser ke Shortcuts ka use karke ham apne kisi bhi page par text ko ghata ya bada ( increase or decrease) kar sakte hai.
3.Press Backspace or Alt+left– kisi bhi tab me kast page ko open karane ke liye aap iska use kar sakte hai.
4. f5 – apne Browser ke page ko refresh or reload karne ke liye is sort key ka use kare.
5. f11- internet browser’s ki screen ko full screen me dekhne ke liye is sort key ka use kare. Aur aap phir se f11 ko press karke aap wapas normal view me aa sakte hai.
Top Google Search Tips In Hindi
6. ctrl+B -apne internet bookmarks ko open karane ke liye iska use kare.
7.ctrl+F- iska use aap apne web page par koi bhi text ko search karne ke liye use kar sakte hai.
8. Ctrl+U -is sort key ka use karke aap apne Browser me kisi bhi page ke code source ko open kar sakte hai.
9. Windows+ space bar– is short ke ka use karke aap apne Browser me language ko change kar sakte hai. Lekin ye tabhi work karega jab aapne multiples language ko install kiya hoga.
10.ctrl+H– is sort key ka use aap apne browser ki history ko open karne ke liye kar sakte hai. history se aap apne purane web page ya address dekh sakte hai.
to dosto ye thi kuch internet browser key ki short keys. jinka use karke aap apne browser ko quikly use kar sakte hai.
आपने बहुत अच्छी जानकारी शेयर की है । धन्यवाद ।
धन्यवाद बबिता जी