Top 5 SEO Tips For Higher Ranking Your Blog:
Site ko develop karne aur top par rank karne ke liye SEO ka achhi tarh use kiya jana jaroort hai. SEO se apki website ke liye organic traffic search engines lane me help karti hai. Is article me mai aapko Search Engine Optimization ke liyeb Basic SEO tips bataunga. Isliye yadi aapko SEO ke bare me janana hai to ye article read kare.
What is SEO?
SEO Tips hamare blog ko search results top par lane wali trik hai. Jab koi users kisi bhi query ko search engines me search karta hai. Tab search engines jaise Google, yahoo , Bing user ko sesrch result show karte hai. Jo uski query ke anusar hota hai. Generally high page ranked sites search results me Top par show hoti hai. Lekin yadi SEO tips properly follow karenge to aap search engines se achha traffic receive kar sakte hai.
SEO do type ke hote hai.
- On page SEO
- Off page SEO
1.On page SEO:
On page SEO me vo sabhi proccess samil hoti hai jo aap post likhate time use karte hai. Jaise providing quality content, appropriate title, keyword research, keyword placement, adding proper images etc.
2.Off page SEO:
Off page SEO me aap apne content ka promotion back links bana kar karte hai. yah sab aap link building kar sakte hai. SEO ke bare me bahut tips available hai lekin ham yaha par aapko Top 5 best SEO tips batane ja raha hu. jo aapke liye search engines se traffic aur ranking ko improve karne ke liye jaroori hai.
1. Quality content:
Sadaiv aapko koshish karni chahiye ki aap apne blog ke liye quality content likhe. Yadi aap apne blog ke liye quality posts write karte hai. To log aapke blog ko like karenge aur apke articles ko share bhi karenge jo aapke blog ke liye traffic lane me help karega. Dusari aur yadi aap kisi other sources se contents copy past karte hai. to visitors par iska wrong impression hoga . Aur vo aapke blog ko read nahi karege. isase aapka blog traffic kam haota jayega. isliye hamesha genuine content apne blog par write kare.
2. Social Media
Social media traffic increase karne ka bahut achha source hai. Yadi aap beginner hai to ekdum se bahut jyada traffic nahi pa sakte. Iske liye kuch hard work karna padega. Isliye yadi aapko social media se traffic lena hai. To apne article ko jarur share kare. social media se traffic increase karne ke liye Mai yaha aapko kuchh tip bata raha hu.
- apne blog ke liye Facebook Fan page create kare. aur yaha aap apne article ko share kare.
- Apne blog se related facebook group ko Join kare. aur vaha apne article ko promote kare.
- Google + par bhi regular apne article ko promote kare. Kyonki Google plus site ranking me achha rol ada karta hai.
- Aap Twitter , linkedin, Pinterest, Reddit ka use bhi apne blog par traffic increase karne ke liye kar sakte hai.
3. Link Building:
Link Building karke aap apne blog ke liye dusare blog se back links create karte hai. Aap apne blog ke liye quality back links pane ke liye high ranked site par Guest posts bhi write kar sakte hai. Isase aapko Do Follow back link mil jayegi. Search engine me bots in Do Follow back links ka use apke blog par more traffic dene ke liye karte hai. Aise hi top ranking site par Comment karke bhi aap traffic receive kar sakte hai.
4. Responsive Theme:
Apne blog ke liye responsive aur good SEO optimized Theme ka use kare. Responsive Theme aapke users ko reading me comfortable hoti hai. isliye aapko good looking responsive Theme ka use karna chahiye. Isase ek aur labh ye hai ki aapki blog load me kam time legi aur aapke visitors easily aapke blog par pahunchate rahenge. Aur ha apne blog ki speed badane ke liye bina matalab ke widgets ko remove jarur kare.
5. Image Optimization:
Aapko apne blog ke liye kam se kam ek image jarur use kare. Aur apni image me alt tags jarur use kare. Sath hi apni image ki.size par dhan de jyada se jyada 150 kb ki hi image use kare. Agar image isase big size ki hai to use optimize karke upload kare. Isase aapke blog ki loading time par koi effect nahi padega.
In top simple tricks ka use karke aap apne blog ke liye achha traffic increase kar sakte hai.