GMAIL ME GALAT MAIL SEND HONE SE USE UNDO KAISE KARE

GMAIL ME GALAT MAIL SEND HONE SE USE UNDO KAISE KARE

GMAIL ME GALAT MAIL SEND HONE SE USE UNDO KAISE KARE:

Ham sabhi gmail ka use karte hai. Kyonki google sabse jyada use kiya jane wala platform hai. Jisame aapko sabhi sarvice free me milati hai. mailing saevice me bhi gmail top par hai. Isaliye sabse jyada gmail use kiya jata hai. shayad aap bhi gmail use karte ho.

Generally ham sabhi Mail send aur receive karte hai. Kabhi kabhi ham koi mail kisi dusare person ko send kar dete hai. Agar ye mail simple hui to koi problem nahi hoti hai. Aur agar ye mail kisi privete information vali hoti hai. Aapko paresani hone lagati hai. Aap chahate hai ki kisi tarha se vah mail vapas aa jaye. Aaj ham aapko isi bare me batane wale hai.

Vaise aap kisi bhi mail ko vapas nahi le sakte hai. Lekin gmail me aapko ek aisa feature diya gaya hai. Jisase aap apne mail ko undo karne ka time set kar sakte hai. Is feature ka use karke aap pahale se set kar sakte hai ki aapki mail 10 ,20 aur maximum 30 seconds tak undo ka option mil jata hai. jisase aap kisi bhi mail ko is duration me undo kar sakte hai.

HOW TO UNDO SEND MAIL IN GMAIL:

Aap niche bataye gaye steps ko follow karke apne gmail me ye feature enable kar sakte hai.

UNDO SEND MAIL IN GMAIL

  1. Sabse pahle aap apne gmail account me login kare  aur in steps ko follow kare-
  2. Righte side me dikh rahe setting icon par click kare.
  3. Ab aapko dropdown menu me setting par click karna hai.
  4. Yaha aapko General par click kare.

Yaha aapko bahut sare option dikhai padenge in option me aapko Undo ke option par click karna hai. Aur in steps ko follow kare

  1. General setting par click kare.
  2. Scroll down kare aur Undo Send ke collection period 30 seconds select kare.
  3. Enable Undo send par tick mark kare.
  4.  ab aap niche sabse last me save Canges par click kare.

ab aap jab bhi kisi ko koi mail send karenge to aapko undo send ka option 30 second tak milega. Jisaka use karke kisi bhi galati se send hui mail ko undo kar sakte hai.

Is tarha aap kisi bhi galati se send mail ko undo kar sakte hai. aur apne private information ko share hone se bacha sakte hai.  aasha karta hu ki aapko ye artical achha laga hoga . agar koi problem ho to comment kar sakte hai.

अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार टेक यू हेल्प के संस्थापक हैं। वह मानव व्यवहार और समाज का अध्ययन करने के जुनून के साथ अत्यधिक प्रेरित व्यक्ति हैं। उन्होंने 2015 में कानपुर विश्वविद्यालय से समाजशास्त्र में मास्टर ऑफ आर्ट्स की डिग्री प्राप्त की है। पढ़ाई के दौरान, अनूप कुमार ने सामाजिक संरचनाओं और व्यक्तिगत अनुभवों को आकार देने के तरीकों की गहरी समझ विकसित की।
[fluentform id="3"]

Comments (3)

Leave a Comment